गुरुवार, 29 सितंबर 2011

PYAAR

Yeh kya kam hai wo basa hai meri sanso me
Wah mere samane ho ye koi jaruri to nahi 


Jaan lutade hum uski ek muskurahat pe
Chhat ka takaja hai , wo bhi ye kare koi jaruri to nahi



Nikal kar aankho se yadon me bas gaya hai wo
Dil ki nazdikiya hai , ye koi duri to nahi


Uske ghar ki taraf udhate nahi mere kadam
Uski badnami se darta hu, ye meri majboori to nahi


Kyu log madhosh hote hai mere khyalat se
Pyar aur tadap alag hai , barsat ho har bar ye jaruri to nahi


Darta hu izhare-e-halat , shauke ibadat se 
Wah kabul kare meri iltaza ye jaruri to nahi


Pal pal dhadkata hai dil uske naam se 
Wah tal se tal milaye ye jaruri to nahi


Meri mohhabat ka umadat sailab hai wo
Wah bhi muje tut kar chhae , ye jaruri to nahi





मंगलवार, 20 सितंबर 2011

PRANAY NIVEDAN


Phool si mahkati  saugat chahiye
Hawa si chanchalata ,  aviram chahiye
Ek aisa hi khubsurat  saath  chahiye
muje  bus  mera  pyaar chahiye


Machalate  jhajbato  ki  pahchan chahiye
Gungunati  pawan sa  ikarar chahiye
Kisi ka aisa  intezar  chahiye
Muje to bus mera pyaar chahiye

Tamannao  ka umadata sansar chahiye
Samudra sa laharat armaan chahiye
Uske pass hone ka ahshas chahiye
Muje to bus mera pyaar chahiye


Aisa hi ek  Dildaar chahiye
Dil ki dhadkan ka anjam chahiye
Wohi khoya Yaar chahiye
Mujhe to bus mera pyaar Chahiye

शुक्रवार, 9 सितंबर 2011

NAAM




KUCH   ACCHA  SA NAAM  DE  DO  HAME  BHI
DEEWANA  HI SAHI  EK  NAYA  NAAM DE  DO  HAME  BHI


JHARANE , NADIA  ,PAHAD  HAI  DIYA  NAAM INHE  BHI
GANGA  , HIMALAYA , GIRIRAJ   KAHATE  HAI  SAB  INHE  BHI


HAKIM  ,FAKIR , NETA  BASTE  HAI SAB YAHA  BHI
LUKMAN  , CHHISTI  , GANDHI  KAHATE  HAI  SAB  UNHE  BHI


BHAGWAN  , ISHU , ALLAH  HAI   MILE  NAAM   INHE   BHI
KRISHANA , YESHU , MOHAMMAD  PUKARTE  HAI  UNHE  BHI 


UMANG  TARANG  VISHVAS  HOTA  HAI  SUB  YAHA  BHI
ARMAN  AHSHAS  HAI  JAHA  KAHTE  HAI   DIL USE  BHI


" SANJAY "  KAHA    KAR   KAB   TAK    PUKARTE    RAHOGE
 UPNAAM  HI  SAHI  EK  PYARA  SA  NAAM   DE  DO  HANE   BHI

मंगलवार, 6 सितंबर 2011

KHYAAB

SUBAH   TUM
SHAAM  TUM
RATRI  KA  KYAAB  TUM

DIL  TUM
DHADKAN  TUM
UMADATE  HUYE  ARMAN  TUM

SAAJ  TUM
AAWAJ  TUM
GEETO  KA  ALFAAZ  TUM

AAGAJ  TUM
ANJAAM  TUM
JINDAGI  KI  KITAB  TUM


KHAYAL  TUM
AHSHAS  TUM
JINE  KA  ANDAAZ  TUM

PYAR  TUM
UNMAD  TUM
DIL  KI  FARIYAAD  TUM