बुधवार, 28 दिसंबर 2011

Jindagi ka safar


Jindagi ke chiragon ko uhi jalae rakhiye ,

Labo pe  muskurahato ko uhi sajaye rakhiye !!

Ankho se bhi ashoon ko chupaye rakhiye ,

Dil me udhate dard ko uhi dabaye  rakhiye`!!

Hoke maayus na shere- shaam dhalte rahiye ,

Jindgi ek subah  hai  ,suraj ki tarah chamakete  rahiye !!

Rukati  nahi hai dhara nadi ki, uhi bahate rahiye ,

Dheere hi sahi dagar par , magar chalte rahiye !!`

Mushkile dilo ke iraade, hausalo ko azmayegi ,

Khwaabo ke parde nigaaho se khud  hatayegi !!

Girkar   samahlana hai , khud hi  batayegi ,


Jindagi khud -b-khud ek din chalana sikhayegi ....................


शनिवार, 10 दिसंबर 2011

KUCH TO BAKI HAI


Jindagi ki  daud mei udaan abhi baaki hai
Rah mei  kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to nikale hai ghar se  bhar kadam humane
Rah mei takarane ko kai toofan abhi baki hai

Lahoron mei uthane wala uffan abhi baki hai
Samundra ki gahrai ka anuman abhi baki hai
Fadfadte pankhon ka viram abhi baki hai
Yu to napane ko to  sara aasman abhi baaki hai

Iraadon mei  hausale ki  raftar abhi baki hai
Nigahon se khawabo ki pahchan abhi baki hai
Larjate labo pe aane ko muskan abhi baki hai
Dil mei uthati tarango ke jhajhabat abhi baki hai

Ladate hai khud se roj hum
Anshuon   ko ankho mei chhupa
Najane jindagi ke kaun se raj abhi baki hai
Chalte ja rahe hai ,  jane kitane mod aane abhi baki hai.

गुरुवार, 17 नवंबर 2011

FASANA



Use sada  dil mei basaye rakhate hai
Aapni palko mei chupaye rakhate hai .
Mohabbat karna sikhaya hai usne
Isliye  ankho mei basaye rakhate hai .

Khud ko khude se bhulaye rakhate hai
Auro se usko bachaye rakahte hai.
Kahi aakar na chali jaye wo
Isliye raste pe nighahe bichaye rakhate hai.

Duniya ko bhulaye rakhate hai
Armano ko mahkaye rakhate hai .
Koi samaj na le hame deewana
Isliye  khud ko uljaye rakhate hai.

Use sanso mei basaye rakhate hai
Sapno mei   sajaye rakhate hai .
Wo meri  jindagi  aur  arzoo hai
Isliye duniya se chupaye rakahte hai .

Uski  tammana ye  zuftju  rakhate hai
Pyar ka har roop rachaye rakhate hai .
Lag na jaye mere fasane ki khabar jamane ko
Isliye  khamoshi ko bhi samajhaye rakhte hai.

सोमवार, 31 अक्तूबर 2011

TANHAI


Dur ho jate ho tum humse uhi baar baar
dundhate rahe hum tumko ,phir roye zaar zaar

Chaand tha, raat bhi  , tare bhi tim tima rahe
Swapn ke agosh mei hum khud ko dubo rahe
Dard thamta nahi ,sulagate armano ka basa gaya sansar
dundhate rahe hum tumko ,phir roye zaar zaar


Khud Bhi Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Bhid mei tha , fir bhi  , Tanhaiyon se  rista nibha    gaya
Vedana hillore leti ,laheron uthti hai, bar bar
 dundhate rahe hum tumko ,phir roye zaar zaar


Hamse chupa ke dard wo jo muskura diye
 Chehra Bayan kar  gaya jaise sub Kuch Ganwa diye
larajate  aarzuon, hasarato  ka jaise tuta huya mazaar
                                 dundhate rahe hum tumko ,phir roye zaar zaar

शुक्रवार, 7 अक्तूबर 2011

Wo-Ek Ladki




वो मेरे विचारों पर मरती है ,
वो मेरे ख्यालात पर हँसती है
ना जाने कैसी लड़की हैं ,
मुझे खोने से डरती है

वो मेरे ज़ज़्बात समझती है ,
मेरे अरमानों में पलती  है
वो मुझमे उन्माद जागती है,
 मुझपर सब कुछ लुटाती  है

मैं जब मिलने को कहता हूँ,
यही हर बार कहती है
सुनो मैं ना आऊँ तो ,
अगर तुमको युहीं तडपाऊ तो

क्या प्यार तब भी करोगे,
क्या इंतज़ार तब भी  करोगे
क्या एतबार तब भी करोगे,
इज़हारे-हाल तब भी करोगे  

मुझे बस याद है इतना,
वो मुझसे प्यार करती है
मुझ पर दिलो -जान से मरती है,
पर मुझे खोने से डरती है  

गुरुवार, 29 सितंबर 2011

PYAAR

Yeh kya kam hai wo basa hai meri sanso me
Wah mere samane ho ye koi jaruri to nahi 


Jaan lutade hum uski ek muskurahat pe
Chhat ka takaja hai , wo bhi ye kare koi jaruri to nahi



Nikal kar aankho se yadon me bas gaya hai wo
Dil ki nazdikiya hai , ye koi duri to nahi


Uske ghar ki taraf udhate nahi mere kadam
Uski badnami se darta hu, ye meri majboori to nahi


Kyu log madhosh hote hai mere khyalat se
Pyar aur tadap alag hai , barsat ho har bar ye jaruri to nahi


Darta hu izhare-e-halat , shauke ibadat se 
Wah kabul kare meri iltaza ye jaruri to nahi


Pal pal dhadkata hai dil uske naam se 
Wah tal se tal milaye ye jaruri to nahi


Meri mohhabat ka umadat sailab hai wo
Wah bhi muje tut kar chhae , ye jaruri to nahi





मंगलवार, 20 सितंबर 2011

PRANAY NIVEDAN


Phool si mahkati  saugat chahiye
Hawa si chanchalata ,  aviram chahiye
Ek aisa hi khubsurat  saath  chahiye
muje  bus  mera  pyaar chahiye


Machalate  jhajbato  ki  pahchan chahiye
Gungunati  pawan sa  ikarar chahiye
Kisi ka aisa  intezar  chahiye
Muje to bus mera pyaar chahiye

Tamannao  ka umadata sansar chahiye
Samudra sa laharat armaan chahiye
Uske pass hone ka ahshas chahiye
Muje to bus mera pyaar chahiye


Aisa hi ek  Dildaar chahiye
Dil ki dhadkan ka anjam chahiye
Wohi khoya Yaar chahiye
Mujhe to bus mera pyaar Chahiye

शुक्रवार, 9 सितंबर 2011

NAAM




KUCH   ACCHA  SA NAAM  DE  DO  HAME  BHI
DEEWANA  HI SAHI  EK  NAYA  NAAM DE  DO  HAME  BHI


JHARANE , NADIA  ,PAHAD  HAI  DIYA  NAAM INHE  BHI
GANGA  , HIMALAYA , GIRIRAJ   KAHATE  HAI  SAB  INHE  BHI


HAKIM  ,FAKIR , NETA  BASTE  HAI SAB YAHA  BHI
LUKMAN  , CHHISTI  , GANDHI  KAHATE  HAI  SAB  UNHE  BHI


BHAGWAN  , ISHU , ALLAH  HAI   MILE  NAAM   INHE   BHI
KRISHANA , YESHU , MOHAMMAD  PUKARTE  HAI  UNHE  BHI 


UMANG  TARANG  VISHVAS  HOTA  HAI  SUB  YAHA  BHI
ARMAN  AHSHAS  HAI  JAHA  KAHTE  HAI   DIL USE  BHI


" SANJAY "  KAHA    KAR   KAB   TAK    PUKARTE    RAHOGE
 UPNAAM  HI  SAHI  EK  PYARA  SA  NAAM   DE  DO  HANE   BHI

मंगलवार, 6 सितंबर 2011

KHYAAB

SUBAH   TUM
SHAAM  TUM
RATRI  KA  KYAAB  TUM

DIL  TUM
DHADKAN  TUM
UMADATE  HUYE  ARMAN  TUM

SAAJ  TUM
AAWAJ  TUM
GEETO  KA  ALFAAZ  TUM

AAGAJ  TUM
ANJAAM  TUM
JINDAGI  KI  KITAB  TUM


KHAYAL  TUM
AHSHAS  TUM
JINE  KA  ANDAAZ  TUM

PYAR  TUM
UNMAD  TUM
DIL  KI  FARIYAAD  TUM


बुधवार, 31 अगस्त 2011

SWAPN


 Usne kaha tum me pahle jaise jhajhbat nahi..
 Maine kaha zindagi me jo tera pyar nahi..!
 usne kaha ab bhi kisi ki aankho  me kya doob sakte ho..
 Maine kaha ab kisiki ankhon me vo ahshas nahi !

 usne kaha kyo itna tutkar chaha mujhe......
 maine kaha dil hai mera koi raste ki deewar  nahi !

usne kaha main swapn hu, yatharth nahi
maine kaha tu sarvasv hai mera ,muje inkar nahi !

usne kaha bhul jao mujhe ...
maine kaha tu saswat  hai koi chadbabhgur khawab nahi !

usne kaha rah badal lo mai tunhari manjil nahi
maine kaha jis rahgujar tum na ho, uska andaz nahi !

usne kaha  ishq ki  dagar aasan nahi
maine kaha is pariksha se main paresha nahi !

usne kaha is duniya ka koi yakin  nahi
maine kaha duniya mei apke siwa kisi ka itabar nahi !

शुक्रवार, 26 अगस्त 2011

JHAJHBAT

ahsas-ek sapna

झील में उठती है क्यों तरंगें  अब तलक
क्या किसी मीन की आँखों में तड़प है अब तलक
तेरी पलकों से गिरेंगे तो कहा जायेंगे
अश्क ये सोच कर आँखों से ना निकले अब तलक

दुःख तो सीता ने सहा प्यार मिला राधा को
प्रेम परिणय से बड़ा ही रहा अब तलक
तुझको सफर खत्म करना था यही
बढते कदमो को ना क्यों रोका अब तलक

किनारे बैठ कर देखते रहे लहरों को
लहरों ने क्यों उत्पात नहीं मचाया अब तलक
पाँव पसारे है तो ठोकर भी मिलेगी तय है
बात इतनी सी समझ क्यों ना आई अब तलक





मंगलवार, 16 अगस्त 2011

AHSAS EK SAPNA--Milan


Milan 

Tuhmare pyar ka sparsh abhi baki hai
Man mein prakash ka sanchar abhi baki hai
Fuloan ka khilana abhi baki hai
Bhauroan ka gunjan abhi baki hai

Ghar ke kone kone mein tumhari hasi abhi baki hai
Smaritiyoan mein yadoan ki tadap abhi baki hai
Dubate suraj ka geet abhi baki hai
Chandani aur chand ka sanjog abhi baki hai

Chakor ki ankhoan mein pyas abhi baki hai
Nadi aur samudra ki aaturta abhi baki hai
Pyar ka sangeet abhi baki hai
Aajao manmit , milan abhi baki hai

शनिवार, 13 अगस्त 2011

15 AUGUST


Swagat tera pandrah august 

   Swarnim pristho mein likha isi din Bharat ka itihas amar

   Swagat tera pandrah august


   Tilak Lajapat Vipin Pal nij ko tuj par kurban kiye
 
   Bagh "jalioanwala" mei  bhar gaye abhiman liye
 
   Jab asahyog aur bahishkar ke nare ka uchhar hua


   Angrejo Bharat chhode se  bijali ka sa sanchar hua

   Pandrah august saitalish ko jarjar pashu bedi tut gayi

   Pashu bal ki shashan kara se vivhal manavata chut gayi

   Tab dhwaja tiranga laharaya surbhit gunjit tha dig-digant

   Manav dwara manvata ke shoshan ka bhi tab hua ant

   Prachi nabh mein ravi udit huya paschim ka suraj hua aast

   SWAGAT  TERA  PANDRAH AUGUST


बुधवार, 3 अगस्त 2011

DOSTI

तुम मेरे बन कर रहो या गैर के
ये भी क्या दोस्ती आधी इधर आधी उधर

मांग जब तुमने निकली गेसुओं के दरमियाँ
रात दो टुकड़े हुए आधी इधर आधी उधर

आँख जब तुमने उठाई बादलों के शोर पर
बिजलियाँ गिराने लगी आधी इधर आधी उधर

सोचता हूँ
मेरी कब्र हो कुछ इस तरह ,
हो तेरे दोनों तरफ आधी इधर आधी उधर

सोमवार, 1 अगस्त 2011

WAFA

Wo meri mohabbat ka sila kyoan nahi dete ,
pyar hai to jata kyoan nahi dete.
yadoan ke sahare mein jiuanga bhala kab tak ,
wo aa nahi sakte to bata kyoan nahi dete.

Jindagi waqt ke thapede se lahu-luhan hai ,
wo kaise masiha hai , is marj ki dawa bhi nahi dete .
shayad unko bhi hai meri jarurat ,
wo khafa hai to bata kyoan nahi dete .

सोमवार, 25 जुलाई 2011

TADAP

raat jaga hu yaad kiya hu,
kya koi aparadh kiya hu ?
tum itna tadapati kyu ho ?

dard-e-dil tha nid par bhari
bhul na paya yaad tumahari
teri jhijhak , tumhara hasna
dar kar en baho mein girna,
tum itna ghabarati kyu ho ?

yo hi hoth hoth pe rakhana
ankhoan se man ko chup karna
bagul safed, dudhiya bala,
saras gardan,kajal kala,
tum itni sunder lagati kyu ho ?

khaylo mein khoye rahte ho
 kitne khubsurat lagate ho
kamar tumahri, baheon tumahari,
kaha kah  the ye haath hamare
tum itna bahkati kyu ho?

tum boli ya koyal boli
kali kali avgunthan kholi
tumhe na aya abhi nikharna
jharne sikh gaye hai bahna
aapna hunar sikhati kyu ho
tum itna tadapati kyu ho?